Gum mera sabse bada,
Meri a-safalta, meri mushkilen, meri majboori.
Uski peeda, uski a-sahaayta, uski haar,
Maine kab hai usko dekha.
Kyo itna Daridr hai mera mann,
Na dikhta kisi aur ka gum.
Dhan mera kyo kisi se kum,
Uske paas na Chhat na Ann.
Kyo itna daridr hai mera mann,
Na dikhta kisi aur ka gum.
Pyar mera mujhse khoya,
Zindagi ka rass khoya.
Uss anaath ne kabhi na koi apna paaya,
Maat-Pita ke liye sadaa roya.
Kyo itna daridr hai mera mann,
Na dikhta kisi aur ka gum.
Dhoka mere saath kisi rishte ne kiya,
Usko dhoka viklaangta ka niyati ne diya.
Kyo itna daridr hai mera mann,
Na dikhta kis aur ka gum.
Dekh paata agar mai kisi aur ka gum,
Bada na lagta kabhi mujhko gum.
Chhod jaayenge sab gum aur khushiyan yahi hum,
Saath jaayega sirf mann, vachan aur karam.
Aao bhula de sab gum, jiyen khul ke har pal hum.
No comments:
Post a Comment