Sunday, February 20, 2011

Aisa bhi hoga...

Khushi kya mujhe kab maalum, Gum kya mujhe kab samajh,

Chalta hun zindagi ki in ant-heen raahon pe, Jo lagti hai har pal anjaani,

Par anjaani si in raahon mein pyaar ka ehsaas, Kya mumkin na tha.

Manzil nishchit hi hogi behtar, Mazboot Iraada karta hu aksar,

Iss safar mei praaya apna kab hoga, Iss safar mei pyar ikraar kab hoga,

Hume Pata bhi na hoga, Vishwaas hai inhi raahon mei sambhav aisa hoga!!

Woh Aaj Bhi Hai Mere Saath

Kal fir suni uski aawaaz, jo thi mere dil ki humraaz Aawaaz mei jiski, kabhi tha jazbaaton ka ehsaas, Woh jazbaat aaj bhi hain mere saat...